BLOGGER TEMPLATES AND TWITTER BACKGROUNDS

Friday 14 October 2011

POEM- INTRODUCING ME PART II

Hey friends Puneet is my name,
Kamana hai mujhe name and fame.
I dont like any teacher
because I am a goat and they are like butcher.
Zindigi ka yahi hai funda ,
kaam aisa karo ki khush ho jaaye dhanda.
Bike chalaau at 91,
Phir bhi nahi kahu I am done.
Physics ke chalte hua haalat kharaab,
Padhte padhte hua talli bina piye sharaab.
11th and 12th mujhe samaj me nahi aati,
Phir bhi kehta mai karunga IIT.
Mai nahi jaanta mere kya hai sapne,
Yeh sunkar pakka daantenge mere apne.
Masti karna hai mera passion,
Cool banu yahi hai aaj kal ka fashion.
Exams ka bhoot saala sir pe hai,
par phir bhi fikar saala kisko hai.
Oh my God! nahi padhunga toh lag jaayegi,
Zindigi bhar ke sapne bikhar jaayegi.
Bahut masti ho gayi beta,
padhne baith aur playstation hataa.
Ek din kaunga apne parent ka sapna saakar ,
Tabhi mil sakega unka sacha pyar.

                                                   -BY PUNEET NANDAN



1 comment:

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete